Sunday, August 19, 2007

chandni raat mujh pe bhari hai..


tujse bichadne ka dard ,samhala hai bahut... ashk baha na le jayen zakhm pala hai bahut... abki barrish na jaan le le kaheen .. bhoola sakoon ye khayal dil se nikala hai bahut..
Raat bhar jaag kar guzaari hai,Ashk sou jaayen unkee baari hai, Din jo niklega jan jaayenge log,Dard ki hai jo ye khumaari hai muskuraane ki saza to tay hai,humne mana ki dil bhi bhaari hai, sab utha leen hain tohmaten humne,har haseen shaam ab tumhari hai teri mehfil hua kare roshan,aaj se ye dua humaari hai, aa mere saamne too khul ke aa,ab na baaki na pardedaari hai, koi khwayeesh nahen rahi himraaz,ab na kuch justzoo humaari hai, khwamakhan ban raha tha diwana unki naffarat bhi kitni pyaari hai, toot kar mein bikhar chuka hoon magar muskurana abhi bhi jaari hai roshni unke naam kar di hai ,akhiri shaam ab humaari unke pehloo se lipat kar roya,jisne duniya meri ujaadi hai
mein samunder sa chalak uthoonga.chandni raat muj pe bhari hai
HIMRAAZ,THE KING OF COOL

No comments: